meri aankhon ko udasi se bachae koi
merī āñkhoñ ko udāsī se bachā.e koī
us ke aane kī ḳhabar mujh ko sunā.e koī
maiñ bhaTak jā.ūñ na yādoñ ke ghane jangal meñ
merī āvāz meñ āvāz milā.e koī
aap kī yaad se raushan karūñ kab tak dil ko
ek hī ghar ko bhalā kitnā sajā.e koī
chāñd rāteñ bhī to lagtī haiñ janāze kī tarah
aise 'ālam meñ kahāñ 'iid manā.e koī
dekhnā chāhtā huuñ us ko pareshāñ hote
us ko jā jā ke mirā haal sunā.e koī
meri aankhon ko udasi se bachae koi
us ke aane ki KHabar mujh ko sunae koi
main bhaTak jaun na yaadon ke ghane jangal mein
meri aawaz mein aawaz milae koi
aap ki yaad se raushan karun kab tak dil ko
ek hi ghar ko bhala kitna sajae koi
chand raaten bhi to lagti hain janaze ki tarah
aise 'alam mein kahan 'id manae koi
dekhna chahta hun us ko pareshan hote
us ko ja ja ke mera haal sunae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.