meri buniyaad ko tamir se pahchana jae
merī buniyād ko tā'mīr se pahchānā jaa.e
mujh ko 'ujlat nahīñ tāḳhīr se pahchānā jaa.e
maiñ ka.ī shakl meñ rahtā huuñ badan par apne
merā chehra mirī tahrīr se pahchānā jaa.e
koī samjhe mirī ḳhāmosh nigāhoñ kī sadā
dard merā mirī tasvīr se pahchānā jaa.e
aañkh kā dekhā huā jhūTh bhī ho saktā hai
ḳhvāb ko ḳhvāb kī tā'bīr se pahchānā jaa.e
maiñ ne paanī ke liye ret uḌaa.ī hai bahut
merī taqdīr ko tadbīr se pahchānā jaa.e
mere kāñdhe se utāre na koī merī salīb
jurm merā mirī tā'zīr se pahchānā jaa.e
is añdhere meñ ye jhankār hai sham'oñ kī tarah
yā'nī mujh ko mirī zanjīr se pahchānā jaa.e
merā sab kuchh mire maazī ke havāle se hai
mere mangal ko mire piir se pahchānā jaa.e
meri buniyaad ko ta'mir se pahchana jae
mujh ko 'ujlat nahin taKHir se pahchana jae
main kai shakl mein rahta hun badan par apne
mera chehra meri tahrir se pahchana jae
koi samjhe meri KHamosh nigahon ki sada
dard mera meri taswir se pahchana jae
aankh ka dekha hua jhuTh bhi ho sakta hai
KHwab ko KHwab ki ta'bir se pahchana jae
main ne pani ke liye ret uDai hai bahut
meri taqdir ko tadbir se pahchana jae
mere kandhe se utare na koi meri salib
jurm mera meri ta'zir se pahchana jae
is andhere mein ye jhankar hai sham'on ki tarah
ya'ni mujh ko meri zanjir se pahchana jae
mera sab kuchh mere mazi ke hawale se hai
mere mangal ko mere pir se pahchana jae
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 99)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.