meri kashti TuT rahi hai sar se uncha pani hai
merī kashtī TuuT rahī hai sar se ūñchā paanī hai
paanī kāTte jīvan biitā phir bhī kitnā paanī hai
tum bhī ḳhush ho apne ghar meñ aur maiñ apne samundar meñ
apnī apnī miTTī hai aur apnā apnā paanī hai
tum ik naddī tum ik dariyā is se aage kyā ho tum
jitnā tum ne soch rakhā hai us se ziyāda paanī hai
khulā samundar merā ghar hai merī qabr bhī ho to kyā
bāzuoñ jaisī lahreñ haiñ aur āñkhoñ jaisā paanī hai
itnī sachchī aisī mukammal tanhā.ī kab dekhī thī
duur duur tak koī nahīñ hai sūraj hai yā paanī hai
jaane 'umr ke kis hisse meñ us par ye ahvāl khule
us kī kahānī miTTī hai aur merā qissa paanī hai
ik laḌkī kā chehra 'sarvat' dil kī tahoñ meñ tair gayā
TūTte bante sāhil haiñ aur jhaag uḌātā paanī hai
meri kashti TuT rahi hai sar se uncha pani hai
pani kaTte jiwan bita phir bhi kitna pani hai
tum bhi KHush ho apne ghar mein aur main apne samundar mein
apni apni miTTi hai aur apna apna pani hai
tum ek naddi tum ek dariya is se aage kya ho tum
jitna tum ne soch rakha hai us se ziyaada pani hai
khula samundar mera ghar hai meri qabr bhi ho to kya
bazuon jaisi lahren hain aur aankhon jaisa pani hai
itni sachchi aisi mukammal tanhai kab dekhi thi
dur dur tak koi nahin hai suraj hai ya pani hai
jaane 'umr ke kis hisse mein us par ye ahwal khule
us ki kahani miTTi hai aur mera qissa pani hai
ek laDki ka chehra 'sarwat' dil ki tahon mein tair gaya
TuTte bante sahil hain aur jhag uData pani hai
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 57)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.