meri nindon ka ujala mujhe wapas de do
merī nīñdoñ kā ujālā mujhe vāpas de do
kal jo TuuTā thā vo sapnā mujhe vāpas de do
tum se paa.ī huī 'izzat tumheñ lauTā dūñgā
merā chhīnā huā rutba mujhe vāpas de do
jaao mat do mirī mehnat kā sila bhī mujh ko
tum mirā ḳhuun pasīna mujhe vāpas de do
ḳhud mire gaañv ke logoñ ne na pahchānā mujhe
shahr vaalo mirā chehra mujhe vāpas de do
phir nayā chāñd pahāḌoñ se utārūñgā 'ḳhalīl'
mere maazī kā añdherā mujhe vāpas de do
meri nindon ka ujala mujhe wapas de do
kal jo TuTa tha wo sapna mujhe wapas de do
tum se pai hui 'izzat tumhein lauTa dunga
mera chhina hua rutba mujhe wapas de do
jao mat do meri mehnat ka sila bhi mujh ko
tum mera KHun pasina mujhe wapas de do
KHud mere ganw ke logon ne na pahchana mujhe
shahr walo mera chehra mujhe wapas de do
phir naya chand pahaDon se utarunga 'KHalil'
mere mazi ka andhera mujhe wapas de do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.