mil ke yun sab ke samne mat kar KHajil mujhe
mil ke yuuñ sab ke sāmne mat kar ḳhajil mujhe
tū sab se mil rahā hai so hargiz na mil mujhe
maujūdgī mirī na khulī tujh pe varna to
laayā hai bārhā tirī jānib ye dil mujhe
bām-e-ḳhayāl par mire aatī haiñ titliyāñ
aatā hai yaad jab bhī tirā shoḳh til mujhe
shauq-e-musāfirat ho tirī ḳhair kyā karūñ
ik aañkh kar ke baiThī hai phir pā-ba-gil mujhe
jī chāhtā hai noch luuñ dīvār-o-dar ke naqsh
kartī hai be-ruḳhī yuuñ tirī mushta'il mujhe
ab ai nigār-e-vaqt koī shart hī nahīñ
tū 'ārzī mile yā mile mustaqil mujhe
rashk-e-jahān hotī mire zaḳhm kī numūd
miltā 'hayā' jo mausam-e-gul mo'tadil mujhe
mil ke yun sab ke samne mat kar KHajil mujhe
tu sab se mil raha hai so hargiz na mil mujhe
maujudgi meri na khuli tujh pe warna to
laya hai barha teri jaanib ye dil mujhe
baam-e-KHayal par mere aati hain titliyan
aata hai yaad jab bhi tera shoKH til mujhe
shauq-e-musafirat ho teri KHair kya karun
ek aankh kar ke baiThi hai phir pa-ba-gil mujhe
ji chahta hai noch lun diwar-o-dar ke naqsh
karti hai be-ruKHi yun teri mushta'il mujhe
ab ai nigar-e-waqt koi shart hi nahin
tu 'arzi mile ya mile mustaqil mujhe
rashk-e-jahan hoti mere zaKHm ki numud
milta 'haya' jo mausam-e-gul mo'tadil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.