mila jo pyar mujhe to wo be-shumar mila
milā jo pyaar mujhe to vo be-shumār milā
mujhe usī se to is zindagī kā saar milā
usī ko yaad karūñ aur gungunā.ūñ use
na jaane kaisā ye mujh ko to rozgār milā
kahāñ nasīb meñ āsāniyāñ haiñ mere ab
mujhe hamesha se kāñToñ kā hī to haar milā
dikhī na raah koī mujh ko merī manzil kī
jahāñ milā hai dhueñ kā hī ye ġhubār milā
'kiran' huuñ maiñ to chamak sab ko hai pasand mirī
mujhe ujālā bhī sūraj se bār-bār milā
mila jo pyar mujhe to wo be-shumar mila
mujhe usi se to is zindagi ka sar mila
usi ko yaad karun aur gungunaun use
na jaane kaisa ye mujh ko to rozgar mila
kahan nasib mein aasaniyan hain mere ab
mujhe hamesha se kanTon ka hi to haar mila
dikhi na rah koi mujh ko meri manzil ki
jahan mila hai dhuen ka hi ye ghubar mila
'kiran' hun main to chamak sab ko hai pasand meri
mujhe ujala bhi suraj se bar-bar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.