mile hue hain ek muddat se KHud ko kho kar dekhen bhi

mile hue hain ek muddat se KHud ko kho kar dekhen bhi
Mahender Kumar Sani
MORE BYMahender Kumar Sani
mile hue haiñ ik muddat se ḳhud ko kho kar dekheñ bhī
apne hī dil meñ dubāra apnī ḳhvāhish bo kar dekheñ bhī
apne pairāhan kī saj-dhaj meñ ham bhūle gard kī maar
andar andar utar ga.ī hai mail use dho kar dekheñ bhī
apnī sadāqat ko manvānā bhī to jabr pe hai isrār
dūsre kī sachchā.ī ke sāmne jhūTā ho kar dekheñ bhī
ye vahdat kis kaam kī jis meñ donoñ ke nām-o-nishāñ na raheñ
aao ham ik-dūsre ko ab ek se do kar dekheñ bhī
rone vaalā jāntā hai kyā hañsnā hai kyā ronā hai
phir bhī kisī ke dukh meñ 'sānī' aañkh bhigo kar dekheñ bhī
mile hue hain ek muddat se KHud ko kho kar dekhen bhi
apne hi dil mein dubara apni KHwahish bo kar dekhen bhi
apne pairahan ki saj-dhaj mein hum bhule gard ki mar
andar andar utar gai hai mail use dho kar dekhen bhi
apni sadaqat ko manwana bhi to jabr pe hai israr
dusre ki sachchai ke samne jhuTa ho kar dekhen bhi
ye wahdat kis kaam ki jis mein donon ke nam-o-nishan na rahen
aao hum ik-dusre ko ab ek se do kar dekhen bhi
rone wala jaanta hai kya hansna hai kya rona hai
phir bhi kisi ke dukh mein 'sani' aankh bhigo kar dekhen bhi
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 75)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.