mile to kuchh baat bhi karoge
mile to kuchh baat bhī karoge
ki bas use dekhte rahoge
ye lafz to muntaḳhab kiye the
hamārī har baat kab sunoge
vo apne raste meñ ḳhud khaḌā hai
kahāñ talak us kā saath doge
ye vahm bhī chhoḌ do ki ab tum
kisī ke chhūne se jī uThoge
jo baat ab khul chukī hai us ko
diloñ meñ rakh ke bhī kyā karoge
chalo isī zindagī ko jī leñ
kahānī ban ke bhī kyā karoge
mile to kuchh baat bhi karoge
ki bas use dekhte rahoge
ye lafz to muntaKHab kiye the
hamari har baat kab sunoge
wo apne raste mein KHud khaDa hai
kahan talak us ka sath doge
ye wahm bhi chhoD do ki ab tum
kisi ke chhune se ji uThoge
jo baat ab khul chuki hai us ko
dilon mein rakh ke bhi kya karoge
chalo isi zindagi ko ji len
kahani ban ke bhi kya karoge
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 34)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.