Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mili dil ki apne KHabar sanam tujhe dil mein jab se basa liya

Sada Ambalvi

mili dil ki apne KHabar sanam tujhe dil mein jab se basa liya

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    milī dil apne ḳhabar sanam tujhe dil meñ jab se basā liyā

    tirī chaah apnī talāsh thī tujhe ke ḳhud ko hai liyā

    ye hunar hai merī nigāh to tufail terī nigāh

    tujhe maiñ ne apnā banā liyā mujhe ne apnā banā liyā

    thī hayāt bār-e-garāñ sanam mile dam-ba-dam mujhe ġham ġham

    tire saath thā bas aasrā jo ye baar maiñ ne uThā liyā

    sau musībatoñ se ghirā huā maiñ zamīn par thā girā huā

    utar ke arsh se aa ga.ī mujhe haath de ke uThā liyā

    maiñ to ek zard phuul thā jo shajar pe bār-e-fuzūl thā

    zahe terī zarra-navāziyāñ jo gale se mujh ko lagā liyā

    mili dil ki apne KHabar sanam tujhe dil mein jab se basa liya

    teri chah apni talash thi tujhe pa ke KHud ko hai pa liya

    ye hunar hai meri nigah ka to tufail teri nigah ka

    tujhe main ne apna bana liya mujhe tu ne apna bana liya

    thi hayat bar-e-garan sanam mile dam-ba-dam mujhe gham hi gham

    tere sath ka tha bas aasra jo ye bar main ne uTha liya

    sau musibaton se ghira hua main zamin par tha gira hua

    tu utar ke arsh se aa gai mujhe hath de ke uTha liya

    main to ek zard sa phul tha jo shajar pe bar-e-fuzul tha

    zahe teri zarra-nawaziyan jo gale se mujh ko laga liya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Ghulam Abbas Khan

    Ghulam Abbas Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now