Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mili na fursat jahan ho ghash se uThi jo kuchh bhi naqab-e-ariz

Qurban Ali Salik Beg

mili na fursat jahan ho ghash se uThi jo kuchh bhi naqab-e-ariz

Qurban Ali Salik Beg

MORE BYQurban Ali Salik Beg

    milī na fursat jahāñ ho ġhash se uThī jo kuchh bhī naqāb-e-āriz

    magar samajhte nahīñ abhī tak tum apnā jalva hijāb-e-āriz

    na dasht-e-aiman meñ zikr us na tuur par kabhī ye chamkā

    na ho nazar meñ jo terā jalva to mehr ko duuñ ḳhitāb-e-āriz

    tasavvur un hai mujh ko har-dam na shab ko taskīñ na chain din ko

    hoī haiñ auqāt mere bilkul tabāh kākul ḳharāb-e-āriz

    ḳhushī kasrat agar ho un ko to ban ke āñkhoñ meñ aa.eñ aañsū

    ziyāda yaañ tak haiñ apnī had se na Thahre aariz meñ āb-e-āriz

    ye rañg-e-bazm-e-adū to dekho ki laakh parde kiye haiñ haa.il

    naqāb uThā.e vo go haiñ baiThe magar hai ġhairat hijāb-e-āriz

    ilāhī merī jigar-fagārī raqīb sun kar unheñ sunā deñ

    vo maslahat samajh ke aa.eñ dikhāne ko māhtāb-e-āriz

    nazar fazā hai jahāñ hai jalva tumhārā ehsān sab pe hogā

    uThāo aariz se tum jo parda to ghaT na jā.egī tāb-e-āriz

    ye naam jis qamar rakhā hai mujhī se ik daaġh le gayā hai

    samajh to dekho samajh rahā hai falak usī ko javāb-e-āriz

    kahīñ ilāhī shab-e-judā.ī tamām hone ko aa ga.ī hai

    numūd-e-sub.h-e-jazā ho shāyad ki maiñ ne dekhā hai ḳhvāb-e-āriz

    huī ye hāl-e-zabūñ shohrat ki us ne ḳhajlat se muñh chhupāyā

    banā hai rañg-e-shikasta merā bahut dinoñ meñ naqāb-e-āriz

    na pūchho ham se ki kyā sabab hai siyāh rozī apnī 'sālik'

    chamak rahā hai bahut dinoñ se adū pe vo āftāb-e-āriz

    mili na fursat jahan ho ghash se uThi jo kuchh bhi naqab-e-ariz

    magar samajhte nahin abhi tak tum apna jalwa hijab-e-ariz

    na dasht-e-aiman mein zikr us ka na tur hi par kabhi ye chamka

    na ho nazar mein jo tera jalwa to mehr ko dun KHitab-e-ariz

    tasawwur un ka hai mujh ko har-dam na shab ko taskin na chain din ko

    hoi hain auqat mere bilkul tabah kakul KHarab-e-ariz

    KHushi ki kasrat agar ho un ko to ban ke aankhon mein aaen aansu

    ziyaada yan tak hain apni had se na Thahre aariz mein aab-e-ariz

    ye rang-e-bazm-e-adu to dekho ki lakh parde kiye hain hail

    naqab uThae wo go hain baiThe magar hai ghairat hijab-e-ariz

    ilahi meri jigar-fagari raqib sun kar unhen suna den

    wo maslahat hi samajh ke aaen dikhane ko mahtab-e-ariz

    nazar faza hai jahan hai jalwa tumhaara ehsan sab pe hoga

    uThao aariz se tum jo parda to ghaT na jaegi tab-e-ariz

    ye nam jis ka qamar rakha hai mujhi se ek dagh le gaya hai

    samajh to dekho samajh raha hai falak usi ko jawab-e-ariz

    kahin ilahi shab-e-judai tamam hone ko aa gai hai

    numud-e-subh-e-jaza ho shayad ki main ne dekha hai KHwab-e-ariz

    hui ye haal-e-zabun ki shohrat ki us ne KHajlat se munh chhupaya

    bana hai rang-e-shikasta mera bahut dinon mein naqab-e-ariz

    na puchho hum se ki kya sabab hai siyah rozi ka apni 'salik'

    chamak raha hai bahut dinon se adu pe wo aaftab-e-ariz

    Source:

    Kulliyat-e-Saalik (Pg. e-300 p-268)

    • Author: Qurban Ali Salik Beg
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now