Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mili nigah hamein teri justuju ke liye

Ruqayya Mahvi

mili nigah hamein teri justuju ke liye

Ruqayya Mahvi

MORE BYRuqayya Mahvi

    milī nigāh hameñ terī justujū ke liye

    to dil bhī vaqf hai terī aarzū ke liye

    badal fitrat-e-dil nigāh-e-sāqī ne

    jo mai-kade se uThe ham chale vuzū ke liye

    hameñ bahut hai kisī nazar paimāna

    vo ham nahīñ jo machalte raheñ subū ke liye

    vahī hai rang-o-bū-e-gulsitāñ magar tujh bin

    mirī nigāh tarastī hai rang-o-bū ke liye

    qadam qadam pe na.ī manziloñ ko Thukrāte

    chale haiñ ahl-e-junūñ kis justujū ke liye

    rafū-garī to bahut ga.ī magar 'mahvī'

    diloñ ke chaak na the baḳhiya-o-rafū ke liye

    mili nigah hamein teri justuju ke liye

    to dil bhi waqf hai teri hi aarzu ke liye

    badal di fitrat-e-dil hi nigah-e-saqi ne

    jo mai-kade se uThe hum chale wuzu ke liye

    hamein bahut hai kisi ki nazar ka paimana

    wo hum nahin jo machalte rahen subu ke liye

    wahi hai rang-o-bu-e-gulsitan magar tujh bin

    meri nigah tarasti hai rang-o-bu ke liye

    qadam qadam pe nai manzilon ko Thukraate

    chale hain ahl-e-junun kis ki justuju ke liye

    rafu-gari to bahut ki gai magar 'mahwi'

    dilon ke chaak na the baKHiya-o-rafu ke liye

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now