milne ki hi chah nahin thi aur bahana duri ka

milne ki hi chah nahin thi aur bahana duri ka
Musarif Husain Mansoori
MORE BYMusarif Husain Mansoori
milne kī hī chaah nahīñ thī aur bahāna duurī kā
tum ne achchhā rang chaḌhāyā marzī par majbūrī kā
dil ḳhushiyoñ ko DhūñD rahā hai duniyā kī ārā.ish meñ
dīvāne ko 'ilm nahīñ hai andar kī kastūrī kā
chāñd mujhe kuchh raas na aayā aur diyoñ se banī nahīñ
maiñ ḳhud zimma-dār huuñ apne jīvan kī be-nūrī kā
rafta rafta 'ishq kar liyā ham ne yuuñ tārīkī se
jaane kab parvāna aatā jugnū kī manzūrī kā
milne ki hi chah nahin thi aur bahana duri ka
tum ne achchha rang chaDhaya marzi par majburi ka
dil KHushiyon ko DhunD raha hai duniya ki aaraish mein
diwane ko 'ilm nahin hai andar ki kasturi ka
chand mujhe kuchh ras na aaya aur diyon se bani nahin
main KHud zimma-dar hun apne jiwan ki be-nuri ka
rafta rafta 'ishq kar liya hum ne yun tariki se
jaane kab parwana aata jugnu ki manzuri ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.