Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milne ki tarah humse wo ab tak kahan mile

Khwaja Shauq

milne ki tarah humse wo ab tak kahan mile

Khwaja Shauq

MORE BYKhwaja Shauq

    milne tarah ham se vo ab tak kahāñ mile

    kam-kam mile kashīda mile bad-gumāñ mile

    ai kaash zindagī ko vo jazb-e-nihāñ mile

    dekhe mujhe koī to tumhārā nishāñ mile

    kis hausle se ham ne basar hai zindagī

    tūfāñ se bhī mile to ba-azm-e-javāñ mile

    nabz-e-chaman pe baad meñ rakkheñge uñgliyāñ

    pahle tirā mizāj to ai bāġhbāñ mile

    rāhat saañs rahzan-e-zauq-e-safar huī

    lamhe masarratoñ ke ġhamoñ se girāñ mile

    jab sohbat-e-chaman se dil apnā bujh gayā

    karnā hai kyā bahār mile ḳhizāñ mile

    kyā jaane kyoñ kisī se dil apnā na mil sakā

    milne ke vāste to ka.ī mehrbāñ mile

    dariyā lahū shahr galiyoñ meñ thā ravāñ

    aḳhbār meñ likhe hue amn-o-amāñ mile

    vo pesh-pesh the jinheñ hosh-e-safar na thā

    jo manzil-āshnā the pas-e-kārvāñ mile

    har ġham se mustaqil hai ta.alluq hayāt

    dekheñ kahāñ se silsila-e-dāstāñ mile

    phūloñ ko lab-kushā.ī haq hai chaman meñ 'shauq'

    zaḳhmoñ ko kam se kam kabhī izn-e-bayāñ mile

    milne ki tarah hum se wo ab tak kahan mile

    kam-kam mile kashida mile bad-guman mile

    ai kash zindagi ko wo jazb-e-nihan mile

    dekhe mujhe koi to tumhaara nishan mile

    kis hausle se hum ne basar ki hai zindagi

    tufan se bhi mile to ba-azm-e-jawan mile

    nabz-e-chaman pe baad mein rakkhenge ungliyan

    pahle tera mizaj to ai baghban mile

    rahat ki sans rahzan-e-zauq-e-safar hui

    lamhe masarraton ke ghamon se giran mile

    jab sohbat-e-chaman se hi dil apna bujh gaya

    karna hai kya bahaar mile ya KHizan mile

    kya jaane kyon kisi se dil apna na mil saka

    milne ke waste to kai mehrban mile

    dariya lahu ka shahr ki galiyon mein tha rawan

    aKHbar mein likhe hue amn-o-aman mile

    wo pesh-pesh the jinhen hosh-e-safar na tha

    jo manzil-ashna the pas-e-karwan mile

    har gham se mustaqil hai talluq hayat ka

    dekhen kahan se silsila-e-dastan mile

    phulon ko lab-kushai ka haq hai chaman mein 'shauq'

    zaKHmon ko kam se kam kabhi izn-e-bayan mile

    Source:

    Chashm-e-Nigran (Pg. 31)

    • Author: Khwaja Shauq
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now