Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga

Fazl Tabish

milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga

Fazl Tabish

MORE BYFazl Tabish

    miloñ ke shahr meñ ghaTtā huā din sochtā hogā

    dhueñ ko jītne vāloñ sūraj dūsrā hogā

    agar mar kar phir uThnā hai to marne ḳhushī kyā hai

    badan khone ġham jiine ḳhushiyoñ se sivā hogā

    sunā hai ye zamīñ uḌtī phiregī ruuī sūrat

    tamāshā karne vaalā tamāshā dekhtā hogā

    maiñ chiḌiyoñ ko ulajhte dekh kar laḌtā samajhtā huuñ

    magar sachchā.ī kyā hai ye unhīñ se pūchhnā hogā

    tumhārā jism merī aag meñ tap kar nikhartā hai

    magar ik roz merā jism ThanDā paḌ gayā hogā

    mujhe ḳhushbū lapeTe jism kuchh achchhe nahīñ lagte

    magar us ko mirā ḳhālī badan bhī kāTtā hogā

    milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga

    dhuen ko jitne walon ka suraj dusra hoga

    agar mar kar phir uThna hai to marne ki KHushi kya hai

    badan khone ka gham jine ki KHushiyon se siwa hoga

    suna hai ye zamin uDti phiregi rui ki surat

    tamasha karne wala hi tamasha dekhta hoga

    main chiDiyon ko ulajhte dekh kar laDta samajhta hun

    magar sachchai kya hai ye unhin se puchhna hoga

    tumhaara jism meri aag mein tap kar nikharta hai

    magar ek roz mera jism ThanDa paD gaya hoga

    mujhe KHushbu lapeTe jism kuchh achchhe nahin lagte

    magar us ko mera KHali badan bhi kaTta hoga

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 463)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now