milta nahin kisi ko tu o KHanuman-KHarab
miltā nahīñ kisī ko tū o ḳhānumāñ-ḳharāb
phirtā hai justujū meñ tirī ik jahāñ ḳharāb
kyūñkar na dil siyāh kare ishq-e-zulf-e-yār
hotā hai rafta rafta dhueñ se makāñ ḳharāb
dām-o-qafas meñ jā ke phañsā huuñ maiñ peshtar
sau baar ho chukā hai mirā āshiyāñ ḳharāb
ḳhud-rafta kar diyā hai ye josh-e-bahār ne
phirte haiñ bū-e-gul kī tarah bāġhbāñ ḳharāb
bose ke chaaT par na ziyāda lagā.iye
karte haiñ aap kis liye merī zabāñ ḳharāb
le chal juuñ ḳhudā ke liye aur samt ko
nāqis yahāñ zamīñ hai yahāñ āsmāñ ḳharāb
vahshat meñ khel hai mujhe zanjīr toḌnā
haddād se kaho na kare beḌiyāñ ḳharāb
maiñ bosa māñgtā huuñ vo dete haiñ gāliyāñ
yaañ bhī zabāñ ḳharāb hai vaañ bhī zabāñ ḳharāb
hirs-o-havā se hai dil-e-ġham-gīñ bharā huā
le jā.ūñ pesh-e-yār maiñ kyā armuġhāñ ḳharāb
dushnām agar yuñhī mujhe degā to rāt-din
bigḌegā kyā mirā tirī ho ke zabāñ ḳharāb
miltā hai kab vo yūsuf-e-gum-gashta dekhiye
phirtā huuñ misl-e-gard rah-e-kārvāñ ḳharāb
dariyā ke aage asl nahīñ musht-e-ḳhāk kī
kyā ho ġhubār-e-jism se rūh-e-ravāñ ḳharāb
niklegā ḳhat zarūr tirī rū-e-sāf par
ik din bahār-e-bāġh karegā ḳhizāñ ḳharāb
ghabrā ke kah na yaar se ai dil ġham-e-firāq
qisse kā lutf kyā hai agar ho bayāñ ḳharāb
ai 'kaif' us ke vāste aalam tabāh hai
yūsuf kī justujū meñ hai ye kārvāñ ḳharāb
milta nahin kisi ko tu o KHanuman-KHarab
phirta hai justuju mein teri ek jahan KHarab
kyunkar na dil siyah kare ishq-e-zulf-e-yar
hota hai rafta rafta dhuen se makan KHarab
dam-o-qafas mein ja ke phansa hun main peshtar
sau bar ho chuka hai mera aashiyan KHarab
KHud-rafta kar diya hai ye josh-e-bahaar ne
phirte hain bu-e-gul ki tarah baghban KHarab
bose ke chaT par na ziyaada lagaiye
karte hain aap kis liye meri zaban KHarab
le chal jun KHuda ke liye aur samt ko
naqis yahan zamin hai yahan aasman KHarab
wahshat mein khel hai mujhe zanjir toDna
haddad se kaho na kare beDiyan KHarab
main bosa mangta hun wo dete hain galiyan
yan bhi zaban KHarab hai wan bhi zaban KHarab
hirs-o-hawa se hai dil-e-gham-gin bhara hua
le jaun pesh-e-yar main kya armughan KHarab
dushnam agar yunhi mujhe dega to raat-din
bigDega kya mera teri ho ke zaban KHarab
milta hai kab wo yusuf-e-gum-gashta dekhiye
phirta hun misl-e-gard rah-e-karwan KHarab
dariya ke aage asl nahin musht-e-KHak ki
kya ho ghubar-e-jism se ruh-e-rawan KHarab
niklega KHat zarur teri ru-e-saf par
ek din bahaar-e-bagh karega KHizan KHarab
ghabra ke kah na yar se ai dil gham-e-firaq
qisse ka lutf kya hai agar ho bayan KHarab
ai 'kaif' us ke waste aalam tabah hai
yusuf ki justuju mein hai ye karwan KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.