Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera baatin mujhe har pal nai duniya dikhata hai

Taimur Hasan

mera baatin mujhe har pal nai duniya dikhata hai

Taimur Hasan

MORE BYTaimur Hasan

    mirā bātin mujhe har pal na.ī duniyā dikhātā hai

    kisī nādīda manzil koī rastā dikhātā hai

    ḳhudā bhī zindagī detā hai bas ik raat ham ko

    isī ik raat meñ lekin ḳhudā kyā kyā dikhātā hai

    zarā tum des ke is rahnumā ke kaam to dekho

    shajar ko kāTtā hai ḳhvāb saa.e dikhātā hai

    bahut ḳhūbiyāñ haiñ aa.ine meñ māntā huuñ maiñ

    magar ik aib hai kam-baḳht meñ chehrā dikhātā hai

    is āshob-e-zamāna ke liye maiñ kyā kahūñ 'taimūr'

    ki har bikhrā huā ḳhud ko yahāñ simTā dikhātā hai

    mera baatin mujhe har pal nai duniya dikhata hai

    kisi nadida manzil ka koi rasta dikhata hai

    KHuda bhi zindagi deta hai bas ek raat ki hum ko

    isi ek raat mein lekin KHuda kya kya dikhata hai

    zara tum des ke is rahnuma ke kaam to dekho

    shajar ko kaTta hai KHwab sae ka dikhata hai

    bahut si KHubiyan hain aaine mein manta hun main

    magar ek aib hai kam-baKHt mein chehra dikhata hai

    is aashob-e-zamana ke liye main kya kahun 'taimur'

    ki har bikhra hua KHud ko yahan simTa dikhata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now