mera har sher ho shahkar jaisa
mirā har she'r ho shahkār jaisā
janāb-e-'mīr' ke ash'ār jaisā
kisī afsānvī kirdār jaisā
'adū ne bhes rakkhā yaar jaisā
kirā.e ke makāñ jaisī hai duniyā
yahāñ jo hai kirāye-dār jaisā
usī kī saañs ukhḌī āñdhiy.oñ meñ
vahī ik peḌ thā chhitnār jaisā
sabā vīrāñ sulaimāñ sar-ba-zānū
parinda zer-e-par minqār jaisā
palaTtā huuñ to pīchhe ek parbat
lapaktā huuñ to aage ġhaar jaisā
hayūlā vaqt kā hotā jo koī
to hotā hū-bahū mañjdhār jaisā
had-e-imkāñ se aage hai gumāñ sā
gumāñ ke baa'd pur-asrār jaisā
sukūñ kab koī saaya de sakā hai
tumhāre sāya-e-dīvār jaisā
mera har she'r ho shahkar jaisa
janab-e-'mir' ke ash'ar jaisa
kisi afsanwi kirdar jaisa
'adu ne bhes rakkha yar jaisa
kirae ke makan jaisi hai duniya
yahan jo hai kiraye-dar jaisa
usi ki sans ukhDi aandhiyon mein
wahi ek peD tha chhitnar jaisa
saba viran sulaiman sar-ba-zanu
parinda zer-e-par minqar jaisa
palaTta hun to pichhe ek parbat
lapakta hun to aage ghaar jaisa
hayula waqt ka hota jo koi
to hota hu-bahu manjdhaar jaisa
had-e-imkan se aage hai guman sa
guman ke ba'd pur-asrar jaisa
sukun kab koi saya de saka hai
tumhaare saya-e-diwar jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.