Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere azizo na dil jalao ki sham ab tak Dhali nahin hai

Abdullah Ali Ejaz

mere azizo na dil jalao ki sham ab tak Dhali nahin hai

Abdullah Ali Ejaz

MORE BYAbdullah Ali Ejaz

    mire azīzo na dil jalāo ki shaam ab tak Dhalī nahīñ hai

    charāġh lau zarā ghaTāo ki shaam ab tak Dhalī nahīñ hai

    jo terā aanā muhāl-e-jāñ thā qarār bāñdhā thā ham se kyūñkar

    nibhā sako qaul to nibhāo ki shaam ab tak Dhalī nahīñ hai

    dinoñ ke jaage thakan ke maare ba-zauq-e-ġham ham se kah rahe haiñ

    kitāb-e-māzī se kuchh sunāo ki shaam ab tak Dhalī nahīñ hai

    sunahrā manzar nigār-e-ishrat chhalak rahā hai shafaq sāġhar

    uThāo jām-e-sharāb uThāo ki shaam ab tak Dhalī nahīñ hai

    bayāz-e-māzī se ham ne sīkhā hai rā.igānī malāl āḳhir

    nashāt ke giit gungunāo ki shaam ab tak Dhalī nahīñ hai

    ghaḌī do bhar ko jo aur chal leñ qarīb pā.eñge manziloñ ko

    shikasta-pā ho ke chalte jaao ki shaam ab tak Dhalī nahīñ hai

    mere azizo na dil jalao ki sham ab tak Dhali nahin hai

    charagh ki lau zara ghaTao ki sham ab tak Dhali nahin hai

    jo tera aana muhaal-e-jaan tha qarar bandha tha hum se kyunkar

    nibha sako qaul to nibhao ki sham ab tak Dhali nahin hai

    dinon ke jage thakan ke mare ba-zauq-e-gham hum se kah rahe hain

    kitab-e-mazi se kuchh sunao ki sham ab tak Dhali nahin hai

    sunahra manzar nigar-e-ishrat chhalak raha hai shafaq ka saghar

    uThao jam-e-sharab uThao ki sham ab tak Dhali nahin hai

    bayaz-e-mazi se hum ne sikha hai raigani malal aaKHir

    nashat ke git gungunao ki sham ab tak Dhali nahin hai

    ghaDi do bhar ko jo aur chal len qarib paenge manzilon ko

    shikasta-pa ho ke chalte jao ki sham ab tak Dhali nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now