mere chaaragar meri baat sun mere dard ki tu dawa na de
mire chārāgar mirī baat sun mire dard kī tū davā na de
mirā dard hāsil-e-'ishq hai mujhe zindagī kī du'ā na de
sabhī zaḳhm to mire bhar ga.e koī aur choT lagā mujhe
mujhe Dar hai merā ye zabt-e-ġham tire hausloñ ko hilā na de
baḌī mushkiloñ se ye chhoḌī hai zarā rok saaqī nigāh ko
tirā ye pilānā hī duur se kahīñ pyaas merī baḌhā na de
yahī soch ke na sunā sakā kabhī hāl-e-dil tire rū-barū
mirī 'umr-bhar kī ye tishnagī kahīñ ek pal meñ bujhā na de
tirī bevafā.ī kā ġham to hai pe ḳhushī bhī hai isī baat se
maiñ is ek Dar se rihā huā tū nazar se mujh ko girā na de
mere chaaragar meri baat sun mere dard ki tu dawa na de
mera dard hasil-e-'ishq hai mujhe zindagi ki du'a na de
sabhi zaKHm to mere bhar gae koi aur choT laga mujhe
mujhe Dar hai mera ye zabt-e-gham tere hauslon ko hila na de
baDi mushkilon se ye chhoDi hai zara rok saqi nigah ko
tera ye pilana hi dur se kahin pyas meri baDha na de
yahi soch ke na suna saka kabhi haal-e-dil tere ru-baru
meri 'umr-bhar ki ye tishnagi kahin ek pal mein bujha na de
teri bewafai ka gham to hai pe KHushi bhi hai isi baat se
main is ek Dar se riha hua tu nazar se mujh ko gira na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.