Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere ghubar-e-safar ka maal raushan hai

Nusrat Gwaliari

mere ghubar-e-safar ka maal raushan hai

Nusrat Gwaliari

MORE BYNusrat Gwaliari

    mire ġhubār-e-safar ma.aal raushan hai

    shafaq shafaq abhī naqsh-e-zavāl raushan hai

    sadā-e-gumbad-e-ta.abīr sun rahā huuñ maiñ

    fazā-e-ḳhvāb meñ kirnoñ jaal raushan hai

    vo ek fikriya lamha usī tarah hai abhī

    tire javāb se merā savāl raushan hai

    parind kyuuñ na uḌā.īñ hañsī añdheroñ

    mire shajar abhī Daal Daal raushan hai

    surūr terī rifāqat kam nahīñ hotā

    tasavvurāt meñ rañg-e-visāl raushan hai

    na koī baat hai kahne aur na sunñe

    tumhārā mujh pe mirā tum pe haal raushan hai

    savāl raah badalne hai to tum badlo

    mirī dalīl hai vāzeh misāl raushan hai

    jise maiñ vaqt ke sahrā meñ pheñk aayā huuñ

    usī chaTān pe sadiyoñ haal raushan hai

    diye jalātā huā baḌh rahā hai dast-e-havā

    fazā muhīb hai lekin ḳhayāl raushan hai

    shikārī apnī jagah mutma.in haiñ chup sādhe

    parinde dekh rahe haiñ ki jaal raushan hai

    kisī añdhere ko ḳhātir meñ tum nahīñ laanā

    mirā charāġh ba-hadd-e-kamāl raushan hai

    ye ehtiyāt-e-safar maqām hai 'nusrat'

    yahāñ se vahshat-e-pā-e-ġhazāl raushan hai

    mere ghubar-e-safar ka maal raushan hai

    shafaq shafaq abhi naqsh-e-zawal raushan hai

    sada-e-gumbad-e-tabir sun raha hun main

    faza-e-KHwab mein kirnon ka jal raushan hai

    wo ek fikriya lamha usi tarah hai abhi

    tere jawab se mera sawal raushan hai

    parind kyun na uDain hansi andheron ki

    mere shajar ki abhi Dal Dal raushan hai

    surur teri rifaqat ka kam nahin hota

    tasawwuraat mein rang-e-visal raushan hai

    na koi baat hai kahne ki aur na sunne ki

    tumhaara mujh pe mera tum pe haal raushan hai

    sawal rah badalne ka hai to tum badlo

    meri dalil hai wazeh misal raushan hai

    jise main waqt ke sahra mein phenk aaya hun

    usi chaTan pe sadiyon ka haal raushan hai

    diye jalata hua baDh raha hai dast-e-hawa

    faza muhib hai lekin KHayal raushan hai

    shikari apni jagah mutmain hain chup sadhe

    parinde dekh rahe hain ki jal raushan hai

    kisi andhere ko KHatir mein tum nahin lana

    mera charagh ba-hadd-e-kamal raushan hai

    ye ehtiyat-e-safar ka maqam hai 'nusrat'

    yahan se wahshat-e-pa-e-ghazal raushan hai

    Source:

    Sab Khwab (Pg. 93)

    • Author: Nusrat Gwaliory
      • Edition: 1998
      • Publisher: Nusrat Gwaliory, Tahzeeb Urdu 5071, Kucha Rahman Pandit, Chandni Chouck, Delhi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now