mere hath mein ishq ka saz de kar
mire haath meñ ishq kā saaz de kar
tumhīñ chhup ga.e ek āvāz de kar
ye kyoñ kar diyā pattharoñ ke havāle
mujhe fitrat-e-ā.ina-sāz de kar
ye kis ne uThā kar qalam rakh diyā hai
kahānī ko ik harf-e-āġhāz de kar
havā meñ bhaTakte phireñ ab parinde
zamīñ haT ga.ī zo'm-e-parvāz de kar
safar par nikalnā hai jis ko vo jaage
Thahartā nahīñ vaqt āvāz de kar
ġhazal saada kāġhaz pe aañsū likhegī
chalā jā.ūñgā apnā andāz de kar
na jaane kahāñ uḌ ga.ī umr 'qaisar'
khaḌā huuñ bayābāñ meñ āvāz de kar
mere hath mein ishq ka saz de kar
tumhin chhup gae ek aawaz de kar
ye kyon kar diya pattharon ke hawale
mujhe fitrat-e-aina-saz de kar
ye kis ne uTha kar qalam rakh diya hai
kahani ko ek harf-e-aghaz de kar
hawa mein bhaTakte phiren ab parinde
zamin haT gai zo'm-e-parwaz de kar
safar par nikalna hai jis ko wo jage
Thaharta nahin waqt aawaz de kar
ghazal sada kaghaz pe aansu likhegi
chala jaunga apna andaz de kar
na jaane kahan uD gai umr 'qaisar'
khaDa hun bayaban mein aawaz de kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.