mere hunar ko koi mojiza samajhta hai
mire hunar ko koī mo'jiza samajhtā hai
tamām shahr mujhe devtā samajhtā hai
'shakīl' shaah ke mānind chāhtā hai bahut
'nam' aazmī bhī mujhe aa.ina samajhtā hai
ye ḳhud-farebī use ek din Dubo degī
vo apne aap ko sab se baḌā samajhtā hai
vo shaḳhs yuuñ to haqīqat meñ hai vahī lekin
mirā gumān use dūsrā samajhtā hai
akele-pan kī aziyyat kā koī naam nahīñ
ye karb vo hai jise rāsta samajhtā hai
mere hunar ko koi mo'jiza samajhta hai
tamam shahr mujhe dewta samajhta hai
'shakil' shah ke manind chahta hai bahut
'nam' aazmi bhi mujhe aaina samajhta hai
ye KHud-farebi use ek din Dubo degi
wo apne aap ko sab se baDa samajhta hai
wo shaKHs yun to haqiqat mein hai wahi lekin
mera guman use dusra samajhta hai
akele-pan ki aziyyat ka koi nam nahin
ye karb wo hai jise rasta samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.