mere nasib mein thi dosto kitab ghalat
mire nasīb meñ thī dosto kitāb ġhalat
kahīñ savāl ġhalat thā kahīñ javāb ġhalat
mire harīf ko ehsās is kā thā shāyad
huā thā mere muqābil vo kāmyāb ġhalat
mire gunāh se baḌh kar sazā milī mujh ko
likhā gayā thā yaqīnan mirā hisāb ġhalat
qadam qadam pe mujhe sharmsār honā paḌā
kahīñ gunāh ġhalat thā kahīñ savāb ġhalat
'ajīb silsila thā zindagī kī rātoñ kā
kabhī to niiñd ġhalat thī kabhī thā ḳhvāb ġhalat
har ek shaḳhs ne dhoka mirī nazar ko diyā
har ek shaḳhs thā oḌhe hue naqāb ġhalat
maiñ apnī tishna-labī kā 'ilāj kyā kartā
kahīñ to jaam ġhalat thā kahīñ sharāb ġhalat
mirī nazar hī 'kañval' raushnī se Dartī thī
na āftāb ġhalat thā na māhtāb ġhalat
mere nasib mein thi dosto kitab ghalat
kahin sawal ghalat tha kahin jawab ghalat
mere harif ko ehsas is ka tha shayad
hua tha mere muqabil wo kaamyab ghalat
mere gunah se baDh kar saza mili mujh ko
likha gaya tha yaqinan mera hisab ghalat
qadam qadam pe mujhe sharmsar hona paDa
kahin gunah ghalat tha kahin sawab ghalat
'ajib silsila tha zindagi ki raaton ka
kabhi to nind ghalat thi kabhi tha KHwab ghalat
har ek shaKHs ne dhoka meri nazar ko diya
har ek shaKHs tha oDhe hue naqab ghalat
main apni tishna-labi ka 'ilaj kya karta
kahin to jam ghalat tha kahin sharab ghalat
meri nazar hi 'kanwal' raushni se Darti thi
na aaftab ghalat tha na mahtab ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.