mere nasib mein yun bhi ghami ziyaada hai

mere nasib mein yun bhi ghami ziyaada hai
Mohammad Hasnain Parwez
MORE BYMohammad Hasnain Parwez
mire nasīb meñ yuuñ bhī ġhamī ziyāda hai
kisī ḳhayāl kī mujh meñ kamī ziyāda hai
ye sard-mehrī tirī mujh ko maar Dālegī
ye barf pahle kī nisbat jamī ziyāda hai
maiñ us ke saath kabhī mutma.in nahīñ hotā
mirā vo dost hai lekin dummy ziyāda hai
hamāre hoñT na dekho jo muskurāte haiñ
hamārī aañkh meñ dekho namī ziyāda hai
kisī charāġh ke Dar se dubak ga.ī hogī
havā chalī nahīñ ab ke thamī ziyāda hai
hazāroñ log mire ās-pās haiñ 'hasnain'
magar nasīb meñ us kī kamī ziyāda hai
mere nasib mein yun bhi ghami ziyaada hai
kisi KHayal ki mujh mein kami ziyaada hai
ye sard-mehri teri mujh ko mar Dalegi
ye barf pahle ki nisbat jami ziyaada hai
main us ke sath kabhi mutmain nahin hota
mera wo dost hai lekin dummy ziyaada hai
hamare honT na dekho jo muskuraate hain
hamari aankh mein dekho nami ziyaada hai
kisi charagh ke Dar se dubak gai hogi
hawa chali nahin ab ke thami ziyaada hai
hazaron log mere aas-pas hain 'hasnain'
magar nasib mein us ki kami ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.