mere qarib raha wo ki mujhse dur raha
mire qarīb rahā vo ki mujh se duur rahā
koī na koī ta'alluq magar zarūr rahā
vo 'ādatan bhī sitamgar hai kuchh hamesha se
kuchh is meñ merī vafāoñ kā bhī qusūr rahā
koī na chhīn le phir mujh se mere hosh-o-havās
isī liye maiñ hamesha nashe meñ chuur rahā
mire ḳhilāf gavāhoñ meñ pesh pesh hai jo
tamām 'umr usī par mujhe ġhurūr rahā
vahī miTā.egā nām-o-nishāñ mirā 'balrāj'
mire vujūd pe jis ko bahut 'ubūr rahā
mere qarib raha wo ki mujh se dur raha
koi na koi ta'alluq magar zarur raha
wo 'adatan bhi sitamgar hai kuchh hamesha se
kuchh is mein meri wafaon ka bhi qusur raha
koi na chhin le phir mujh se mere hosh-o-hawas
isi liye main hamesha nashe mein chur raha
mere KHilaf gawahon mein pesh pesh hai jo
tamam 'umr usi par mujhe ghurur raha
wahi miTaega nam-o-nishan mera 'balraj'
mere wujud pe jis ko bahut 'ubur raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.