mere saqiya surahi mere hath mein thama de
mire sāqiyā surāhī mire haath meñ thamā de
mujhe Dar hai Dagmagā ke kahīñ mai na tū girā de
mire hosh aaj saaqī kisī taur tū uḌā de
hai ḳhumār kam jo mai meñ to nazar se bhī pilā de
jo nikal ke but-kade se haiñ bhaTak rahe haram meñ
unheñ mai-kade kā saaqī zarā rāsta dikhā de
na baḌā koī na chhoTā sabhī rind haiñ barābar
jo baḌā kahā.e ḳhud ko use bazm se baḌhā de
mujhe dekh kar tū saaqī na zarā bhī ḳhauf karnā
maiñ nashe meñ huuñ to huuñ par mire nek haiñ irāde
baḌhā shor ghanTiyoñ kā huī hai azaan ūñchī
ki bhaTak na jaa.eñ maikash tū bhī zor se 'sadā' de
mere saqiya surahi mere hath mein thama de
mujhe Dar hai Dagmaga ke kahin mai na tu gira de
mere hosh aaj saqi kisi taur tu uDa de
hai KHumar kam jo mai mein to nazar se bhi pila de
jo nikal ke but-kade se hain bhaTak rahe haram mein
unhen mai-kade ka saqi zara rasta dikha de
na baDa koi na chhoTa sabhi rind hain barabar
jo baDa kahae KHud ko use bazm se baDha de
mujhe dekh kar tu saqi na zara bhi KHauf karna
main nashe mein hun to hun par mere nek hain irade
baDha shor ghanTiyon ka hui hai azan unchi
ki bhaTak na jaen maikash tu bhi zor se 'sada' de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.