Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere sine se ranj-o-gham ki tughyani nahin jati

Mohammad Wilayatullah

mere sine se ranj-o-gham ki tughyani nahin jati

Mohammad Wilayatullah

MORE BYMohammad Wilayatullah

    Interesting Fact

    December 1939

    mire siine se ranj-o-ġham tuġhyānī nahīñ jaatī

    ilāhī kyā karūñ dil pareshānī nahīñ jaatī

    mujhe ġhairoñ ke jhūTe dāva-e-ulfat se kyā matlab

    ġhazab ye hai mirī haq baat bhī maanī nahīñ jaatī

    kiyā us chashm-e-ishq-afroz ne barbād duniyā meñ

    magar phir bhī nazar fitna-sāmānī nahīñ jaatī

    tahayyur hai mohabbat ke natā.ej ne dekhe haiñ

    magar afsos ai dil terī nādānī nahīñ jaatī

    paḌe haiñ pech sumbul meñ yahāñ ā.īna hairāñ hai

    ta.ajjub hai ki gesū pareshānī nahīñ jaatī

    jahāñ meñ har taraf sāmān-e-ishrat bhī muhayyā hai

    sabab kyā hai mirī ġham farāvānī nahīñ jaatī

    dilāyā yaad us paimāñ-shikan ko va.ada kyuuñ maiñ ne

    pareshāñ huuñ kisī sūrat pashemānī nahīñ jaatī

    hazāroñ nāmvar aa kar base shahr-e-ḳhamoshāñ meñ

    magar is sar-zamīñ phir bhī vīrānī nahīñ jaatī

    pa.e daryāft asrār-e-haqīqat sab haiñ sargardāñ

    falak ke paar lekin aql-e-insānī nahīñ jaatī

    natīja nek hai īsār duniyā-o-uqbā meñ

    haqīqat meñ kabhī be-kār qurbānī nahīñ jaatī

    asar kyā ḳhaak ho merī fuġhāñ us pe ai 'hāfiz'

    mirī āvāz tak us ghar meñ pahchānī nahīñ jaatī

    mere sine se ranj-o-gham ki tughyani nahin jati

    ilahi kya karun dil ki pareshani nahin jati

    mujhe ghairon ke jhuTe dawa-e-ulfat se kya matlab

    ghazab ye hai meri haq baat bhi mani nahin jati

    kiya us chashm-e-ishq-afroz ne barbaad duniya mein

    magar phir bhi nazar ki fitna-samani nahin jati

    tahayyur hai mohabbat ke nataej tu ne dekhe hain

    magar afsos ai dil teri nadani nahin jati

    paDe hain pech sumbul mein yahan aaina hairan hai

    tajjub hai ki gesu ki pareshani nahin jati

    jahan mein har taraf saman-e-ishrat bhi muhayya hai

    sabab kya hai meri gham ki farawani nahin jati

    dilaya yaad us paiman-shikan ko wada kyun main ne

    pareshan hun kisi surat pashemani nahin jati

    hazaron namwar aa kar base shahr-e-KHamoshan mein

    magar is sar-zamin ki phir bhi virani nahin jati

    pae daryaft asrar-e-haqiqat sab hain sargardan

    falak ke par lekin aql-e-insani nahin jati

    natija nek hai isar ka duniya-o-uqba mein

    haqiqat mein kabhi be-kar qurbani nahin jati

    asar kya KHak ho meri fughan ka us pe ai 'hafiz'

    meri aawaz tak us ghar mein pahchani nahin jati

    Source:

    Soz-o-gudaaz (Pg. B-70 E-66)

    • Author: Mohammad Wilayatullah
      • Edition: 1941
      • Publisher: Mohammad Wilayatullah
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now