meri aankhon ko dhoka ho raha hai
mirī āñkhoñ ko dhoka ho rahā hai
ki ā.īna hī dhuñdlā ho rahā hai
vahī ham haiñ vahī duniyā vahī dil
vahī jo ho rahā thā ho rahā hai
na āvāzeñ hī dil ko chhū rahī haiñ
na sannāTā hī gahrā ho rahā hai
na ye āñkheñ hī patthar ho rahī haiñ
na ye aañsū hī dariyā ho rahā hai
hamāre paañv zaḳhmī ho rahe haiñ
chalo hamvār rasta ho rahā hai
mire to ḳhvāb miTTī ho rahe haiñ
dar-o-dīvār ko kyā ho rahā hai
havā.eñ dukh baTātī phir rahī haiñ
zamīñ kā bojh halkā ho rahā hai
meri aankhon ko dhoka ho raha hai
ki aaina hi dhundla ho raha hai
wahi hum hain wahi duniya wahi dil
wahi jo ho raha tha ho raha hai
na aawazen hi dil ko chhu rahi hain
na sannaTa hi gahra ho raha hai
na ye aankhen hi patthar ho rahi hain
na ye aansu hi dariya ho raha hai
hamare panw zaKHmi ho rahe hain
chalo hamwar rasta ho raha hai
mere to KHwab miTTi ho rahe hain
dar-o-diwar ko kya ho raha hai
hawaen dukh baTati phir rahi hain
zamin ka bojh halka ho raha hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 49)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.