Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri baat par jo chalte to kuchh aur baat hoti

Kamal Lakhnavi

meri baat par jo chalte to kuchh aur baat hoti

Kamal Lakhnavi

MORE BYKamal Lakhnavi

    mirī baat par jo chalte to kuchh aur baat hotī

    jo ravish na tum badalte to kuchh aur baat hotī

    rah-e-kā.enāt-e-ġham meñ mirā saath chhoḌnā kyā

    mire saath saath chalte to kuchh aur baat hotī

    pas-e-parda allah allah ye tajalliyoñ aalam

    vo hijāb se nikalte to kuchh aur baat hotī

    sar-e-hashr vo to kahiye unheñ dekh ke pareshāñ

    jo bayāñ na ham badalte to kuchh aur baat hotī

    ye charāġh-e-azm-o-himmat yuuñ jale bhī to jale kyā

    agar āñdhiyoñ meñ jalte to kuchh aur baat hotī

    jo piye haiñ maiñ ne aañsū vo badal ke apnī manzil

    tirī aañkh se nikalte to kuchh aur baat hotī

    vo nazar gardishoñ ko jo ba-nām-e-mai-gusārī

    mire jaam se badalte to kuchh aur baat hotī

    jo shuā-e-fikr-o-fan se mire vādī-e-adab meñ

    na.e āftāb Dhalte to kuchh aur baat hotī

    hameñ ai 'kamāl' āḳhir koī thā jo thā sañbhāle

    hamīñ gir ke ḳhud sañbhalte to kuchh aur baat hotī

    meri baat par jo chalte to kuchh aur baat hoti

    jo rawish na tum badalte to kuchh aur baat hoti

    rah-e-kaenat-e-gham mein mera sath chhoDna kya

    mere sath sath chalte to kuchh aur baat hoti

    pas-e-parda allah allah ye tajalliyon ka aalam

    wo hijab se nikalte to kuchh aur baat hoti

    sar-e-hashr wo to kahiye unhen dekh ke pareshan

    jo bayan na hum badalte to kuchh aur baat hoti

    ye charagh-e-azm-o-himmat yun jale bhi to jale kya

    agar aandhiyon mein jalte to kuchh aur baat hoti

    jo piye hain main ne aansu wo badal ke apni manzil

    teri aankh se nikalte to kuchh aur baat hoti

    wo nazar ki gardishon ko jo ba-nam-e-mai-gusari

    mere jam se badalte to kuchh aur baat hoti

    jo shua-e-fikr-o-fan se mere wadi-e-adab mein

    nae aaftab Dhalte to kuchh aur baat hoti

    hamein ai 'kamal' aaKHir koi tha jo tha sanbhaale

    hamin gir ke KHud sanbhalte to kuchh aur baat hoti

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now