meri hi zat mein hangama-e-sahar bhi tha
mirī hī zaat meñ hangāma-e-sahar bhī thā
shab-e-ḳhamosh kā maiñ āḳhirī pahar bhī thā
kisī kā baḌhtā huā haath sard mausam meñ
pakaḌ liyā thā magar chhūTne kā Dar bhī thā
maiñ jis ke jism kā saaya bhī chhū na saktā thā
ye alamiya hai vahī merā ham-safar bhī thā
maiñ aise shaḳhs kī parchhā.iyoñ meñ zinda huuñ
jo thak chukā bhī thā āmāda-e-safar bhī thā
jise maiñ gaañv ke kuueñ meñ pheñk aaya huuñ
usī samāj ke neze pe merā sar bhī thā
jo din meñ sotā thā rātoñ ko jāgtā thā 'shakīl'
paḌos vāloñ meñ ik shaḳhs be-hunar bhī thā
meri hi zat mein hangama-e-sahar bhi tha
shab-e-KHamosh ka main aaKHiri pahar bhi tha
kisi ka baDhta hua hath sard mausam mein
pakaD liya tha magar chhuTne ka Dar bhi tha
main jis ke jism ka saya bhi chhu na sakta tha
ye alamiya hai wahi mera ham-safar bhi tha
main aise shaKHs ki parchhaiyon mein zinda hun
jo thak chuka bhi tha aamada-e-safar bhi tha
jise main ganw ke kuen mein phenk aaya hun
usi samaj ke neze pe mera sar bhi tha
jo din mein sota tha raaton ko jagta tha 'shakil'
paDos walon mein ek shaKHs be-hunar bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.