meri nazar ko abas tu burai deti hai
mirī nazar ko 'abas tū burā.ī detī hai
jo shai burī hai burī hī dikhā.ī detī hai
ye ḳhaak kaisī banā.ī hai ai ḳhudā tū ne
har ek rang meñ yaktā dikhā.ī detī hai
hamāre dil haiñ salāmat to phir har ik lamha
ye TūTne kī sadā kyoñ sunā.ī detī hai
ye roz roz kā milnā bhī Thiik hai lekin
mazā to yaar tirī kam-numā.ī detī hai
sunā.ī detī na thī jin ko kal mirī fariyād
ab un ko merī ḳhamoshī sunā.ī detī hai
hazār gard uḌātā phire vo nafrat kī
mujhe to sirf mohabbat dikhā.ī detī hai
kisī lihāz se mujrim nahīñ agar duniyā
to baar baar ye phir kyoñ safā.ī detī hai
dil us kā jurm to kartā hai har ghaḌī 'najmī'
aur us kī aañkh barābar safā.ī detī hai
meri nazar ko 'abas tu burai deti hai
jo shai buri hai buri hi dikhai deti hai
ye KHak kaisi banai hai ai KHuda tu ne
har ek rang mein yakta dikhai deti hai
hamare dil hain salamat to phir har ek lamha
ye TuTne ki sada kyon sunai deti hai
ye roz roz ka milna bhi Thik hai lekin
maza to yar teri kam-numai deti hai
sunai deti na thi jin ko kal meri fariyaad
ab un ko meri KHamoshi sunai deti hai
hazar gard uData phire wo nafrat ki
mujhe to sirf mohabbat dikhai deti hai
kisi lihaz se mujrim nahin agar duniya
to bar bar ye phir kyon safai deti hai
dil us ka jurm to karta hai har ghaDi 'najmi'
aur us ki aankh barabar safai deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.