meri tarah koi barbaad hone wala nahin
mirī tarah koī barbād hone vaalā nahīñ
ye dasht-e-'ishq ab ābād hone vaalā nahīñ
bas ek din ise zanjīr ḳhud rihā karegī
ye qaidī aise to āzād hone vaalā nahīñ
bilā-sabab yahāñ logoñ se kaun miltā hai
ye kār-e-ḳhair mire baa'd hone vaalā nahīñ
sabhī ko shauq yahāñ inkishāf-e-zāt kā hai
magar vo aa.ina ījād hone vaalā nahīñ
paḌhā rahe ho sabaq dil ko duniyā-dārī kā
paḌhāye jaao ise yaad hone vaalā nahīñ
ye kah ke kār-e-jahāñ koī mujh ko sauñp gayā
ye kaam mujh se to ustād hone vaalā nahīñ
meri tarah koi barbaad hone wala nahin
ye dasht-e-'ishq ab aabaad hone wala nahin
bas ek din ise zanjir KHud riha karegi
ye qaidi aise to aazad hone wala nahin
bila-sabab yahan logon se kaun milta hai
ye kar-e-KHair mere ba'd hone wala nahin
sabhi ko shauq yahan inkishaf-e-zat ka hai
magar wo aaina ijad hone wala nahin
paDha rahe ho sabaq dil ko duniya-dari ka
paDhaye jao ise yaad hone wala nahin
ye kah ke kar-e-jahan koi mujh ko saunp gaya
ye kaam mujh se to ustad hone wala nahin
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 84)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.