meri tauba jo TuTi hai shararat sab faza ki hai
mirī tauba jo TuuTī hai sharārat sab fazā kī hai
qusūr abr-e-bahārī kā ḳhatā kaalī ghaTā kī hai
kise ilzām deñ kashtī ke apnī Duub jaane kā
ḳhatā-e-nāḳhudā hogī magar marzī ḳhudā kī hai
na aaj ai shaiḳh tū Thukrā mai-e-gulfām ko hargiz
davā hī jaan kar pī jā are sardī balā kī hai
qanā'at kar are vā'iz jahāñ kī ne’matoñ par tū
banā jannat yahī duniyā ye duniyā bhī ḳhudā kī hai
visāl-e-haq kabhī mushkil kabhī āsān lagtā hai
zarā sā fāsla hai darmiyāñ dīvār anā kī hai
'atā ḳhil’at kahāñ se ho kare ikrām kaun is kā
rahe duur ahl-e-masnad se burī 'ādat 'sadā' kī hai
meri tauba jo TuTi hai shararat sab faza ki hai
qusur abr-e-bahaari ka KHata kali ghaTa ki hai
kise ilzam den kashti ke apni Dub jaane ka
KHata-e-naKHuda hogi magar marzi KHuda ki hai
na aaj ai shaiKH tu Thukra mai-e-gulfam ko hargiz
dawa hi jaan kar pi ja are sardi bala ki hai
qana'at kar are wa'iz jahan ki ne’maton par tu
bana jannat yahi duniya ye duniya bhi KHuda ki hai
visal-e-haq kabhi mushkil kabhi aasan lagta hai
zara sa fasla hai darmiyan diwar ana ki hai
'ata KHil’at kahan se ho kare ikram kaun is ka
rahe dur ahl-e-masnad se buri 'adat 'sada' ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.