miT miT ke mohabbat mein teri yun tujhko pukare jate hain
miT miT ke mohabbat meñ terī yuuñ tujh ko pukāre jaate haiñ
kaT kaT kar dariyā kī tah meñ jis tarh kināre jaate haiñ
kyā ḳhuub hai terī mahfil bhī mahfil hai ki chakkar duniyā kā
kuchh niiñd ke maate aate haiñ kuchh dard ke maare jaate haiñ
kyoñ 'ishq ko miTnā husn ko banñā lāzim thā mā'lūm huā
kuchh kaam bigāḌe jaate haiñ kuchh kaam sañvāre jaate haiñ
rah mil to ga.ī hai manzil kī lekin ye huī hālat apnī
armān baḌhā.e jaate haiñ aur hausla haare jaate haiñ
yā daur-e-mohabbat thā vo bhī āñkhoñ meñ haiñ naqshe pal pal ke
yā vaqt ye aayā hai ki yūñhī ab 'umr guzāre jaate haiñ
ummīdoñ kī bastī ujḌī dil miT gayā lekin phir bhī vahāñ
ashkoñ kī ThanDī chhāoñ meñ aahoñ ke sharāre jaate haiñ
shaam aa.ī thī aanā thā unheñ kyā raat pahāḌ sī kaT bhī ga.ī
tang aa ke fareb-e-vā’da se yā chāñd sitāre jaate haiñ
miT miT ke mohabbat mein teri yun tujh ko pukare jate hain
kaT kaT kar dariya ki tah mein jis tarh kinare jate hain
kya KHub hai teri mahfil bhi mahfil hai ki chakkar duniya ka
kuchh nind ke mate aate hain kuchh dard ke mare jate hain
kyon 'ishq ko miTna husn ko banna lazim tha ma'lum hua
kuchh kaam bigaDe jate hain kuchh kaam sanware jate hain
rah mil to gai hai manzil ki lekin ye hui haalat apni
arman baDhae jate hain aur hausla haare jate hain
ya daur-e-mohabbat tha wo bhi aankhon mein hain naqshe pal pal ke
ya waqt ye aaya hai ki yunhi ab 'umr guzare jate hain
ummidon ki basti ujDi dil miT gaya lekin phir bhi wahan
ashkon ki ThanDi chhaon mein aahon ke sharare jate hain
sham aai thi aana tha unhen kya raat pahaD si kaT bhi gai
tang aa ke fareb-e-wa’da se ya chand sitare jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.