miTTi ke insan banaya karta tha
miTTī ke insān banāyā kartā thā
maiñ apnī pahchān banāyā kartā thā
phuul kahāñ hote the merī bastī meñ
kāġhaz ke guldān banāyā kartā thā
apne aap ko bāñdh liyā kartā thā maiñ
dhāgoñ se zindān banāyā kartā thā
log mirī āvāz kahāñ sun sakte the
dīvāroñ ke kaan banāyā kartā thā
sūkhe phūloñ par bārish kī būñdoñ se
ḳhushbū ke imkān banāyā kartā thā
maañ ko dekhā kartā thā aur pencil se
tasvīr-e-yazdān banāyā kartā thā
miTTi ke insan banaya karta tha
main apni pahchan banaya karta tha
phul kahan hote the meri basti mein
kaghaz ke guldan banaya karta tha
apne aap ko bandh liya karta tha main
dhagon se zindan banaya karta tha
log meri aawaz kahan sun sakte the
diwaron ke kan banaya karta tha
sukhe phulon par barish ki bundon se
KHushbu ke imkan banaya karta tha
man ko dekha karta tha aur pencil se
taswir-e-yazdan banaya karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.