miTTi ke makan dekhta hun
miTTī ke makān dekhtā huuñ
sab jān-o-jahān dekhtā huuñ
lamhoñ meñ kahīñ sukūñ se baiThā
qarnoñ kī takān dekhtā huuñ
maiñ siikh rahā huuñ dekhnā kyā
āñkhoñ pe nishān dekhtā huuñ
bāzār meñ ajnabī huuñ yā'nī
phūloñ kī dukān dekhtā huuñ
ye chup kā mu'āmla hai āḳhir
hir-phir ke zabān dekhtā huuñ
maiñ aag lagā ke aadmī ko
sho'le kī uThān dekhtā huuñ
suntā thā azān-e-sub.h kal tak
ab sub.h-e-azān dekhtā huuñ
āñkhoñ kā lihāz hai kuchh itnā
har vaqt har aan dekhtā huuñ
miTTi ke makan dekhta hun
sab jaan-o-jahan dekhta hun
lamhon mein kahin sukun se baiTha
qarnon ki takan dekhta hun
main sikh raha hun dekhna kya
aankhon pe nishan dekhta hun
bazar mein ajnabi hun ya'ni
phulon ki dukan dekhta hun
ye chup ka mu'amla hai aaKHir
hir-phir ke zaban dekhta hun
main aag laga ke aadmi ko
sho'le ki uThan dekhta hun
sunta tha azan-e-subh kal tak
ab subh-e-azan dekhta hun
aankhon ka lihaz hai kuchh itna
har waqt har aan dekhta hun
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 78)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.