miTTi-miTTi ho kar bhi wo aankhon mein bhar aate hain
miTTī-miTTī ho kar bhī vo āñkhoñ meñ bhar aate haiñ
koh-e-nidā ko jaane vaale log palaT kar aate haiñ
un meñ sarāyat kar jaatā hai yuuñ merā pathrīlā-pan
ab ruḳhsāroñ ke badle hāthoñ meñ patthar aate haiñ
kyā merī tanhā.ī ne har dost ko tanhā kar Daalā
vo jo kabhī milte hī na the vo milne aksar aate haiñ
un mehmānoñ kī ḳhātir dahlīz pe baiThā rahtā huuñ
mere ghar meñ rizq aatā hai aur kabūtar aate haiñ
aur hī duniyā kī ḳhushbū aatī hai mere zaḳhmoñ se
shaam tire nokīle panje kis ko chhū kar aate haiñ
naata toḌne vaalo tum se jang nahīñ karne ke ham
tum baiTho ham she'b-e-abī-tālib se ho kar aate haiñ
miTTi-miTTi ho kar bhi wo aankhon mein bhar aate hain
koh-e-nida ko jaane wale log palaT kar aate hain
un mein sarayat kar jata hai yun mera pathrila-pan
ab ruKHsaron ke badle hathon mein patthar aate hain
kya meri tanhai ne har dost ko tanha kar Dala
wo jo kabhi milte hi na the wo milne aksar aate hain
un mehmanon ki KHatir dahliz pe baiTha rahta hun
mere ghar mein rizq aata hai aur kabutar aate hain
aur hi duniya ki KHushbu aati hai mere zaKHmon se
sham tere nokile panje kis ko chhu kar aate hain
nata toDne walo tum se jang nahin karne ke hum
tum baiTho hum she'b-e-abi-talib se ho kar aate hain
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 109)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.