miyan sher kahna jo aasan hota
miyāñ she'r kahnā jo āsān hotā
to ab tak hamārā bhī dīvān hotā
ḳhudā ke karam se hai dil sabz-o-shādāb
udāsī na hotī to vīrān hotā
maiñ kuchh aise hālāt se laḌ rahā huuñ
mirā baap hotā to hairān hotā
agar aaj karte hisāb-e-mohabbat
mire haath terā garebān hotā
bhalā ho ki hijrat baḌe kaam aa.ī
tire saath hotā to nuqsān hotā
mujhe hī mohabbat thī tujh se vagarna
mirī tarh tū bhī pashemān hotā
miyan she'r kahna jo aasan hota
to ab tak hamara bhi diwan hota
KHuda ke karam se hai dil sabz-o-shadab
udasi na hoti to viran hota
main kuchh aise haalat se laD raha hun
mera bap hota to hairan hota
agar aaj karte hisab-e-mohabbat
mere hath tera gareban hota
bhala ho ki hijrat baDe kaam aai
tere sath hota to nuqsan hota
mujhe hi mohabbat thi tujh se wagarna
meri tarh tu bhi pasheman hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.