mohabbat ehtimam-e-dar bhi hai
mohabbat ehtimām-e-dār bhī hai
mohabbat misr kā bāzār bhī hai
mohabbat mustaqil āzār bhī hai
ye gulshan vādī-e-pur-ḳhār bhī hai
vo tūfāñ jo Dubo detā hai aksar
isī tūfāñ se beḌā paar bhī hai
ḳhudī kī had meñ hai majbūr insān
ḳhudī miT jaa.e to muḳhtār bhī hai
harīm-e-dil meñ bhī hai jalva-farmā
mirā yūsuf sar-e-bāzār bhī hai
na kyoñ mar jā.iye marne se pahle
yahī honā ma.āl-e-kār bhī hai
mirā chāk-e-garebāñ siine vaale
ye dil meñ zaḳhm-e-dāman-dār bhī hai
zamāne ko shikāyat hai vafā kī
zamāna ḳhud vafā-bezār bhī hai
mirī nākāmiyāñ shāhid haiñ is kī
maiñ ab samjhā ki tū muḳhtār bhī hai
mire dil kī tamannā.eñ na pūchho
ye nādāñ 'āfiyat-bezār bhī hai
koī had bhī vafā ke imtihāñ kī
satāne kā koī me'yār bhī hai
ye kahtī hai sadā-e-lan-tarānī
kisī meñ tāqat-e-dīdār bhī hai
nahīñ bahkā kabhī 'maḳhmūr' pī kar
ye dīvāna bhī hai hushiyār bhī hai
mohabbat ehtimam-e-dar bhi hai
mohabbat misr ka bazar bhi hai
mohabbat mustaqil aazar bhi hai
ye gulshan wadi-e-pur-KHar bhi hai
wo tufan jo Dubo deta hai aksar
isi tufan se beDa par bhi hai
KHudi ki had mein hai majbur insan
KHudi miT jae to muKHtar bhi hai
harim-e-dil mein bhi hai jalwa-farma
mera yusuf sar-e-bazar bhi hai
na kyon mar jaiye marne se pahle
yahi hona maal-e-kar bhi hai
mera chaak-e-gareban sine wale
ye dil mein zaKHm-e-daman-dar bhi hai
zamane ko shikayat hai wafa ki
zamana KHud wafa-bezar bhi hai
meri nakaamiyan shahid hain is ki
main ab samjha ki tu muKHtar bhi hai
mere dil ki tamannaen na puchho
ye nadan 'afiyat-bezar bhi hai
koi had bhi wafa ke imtihan ki
satane ka koi me'yar bhi hai
ye kahti hai sada-e-lan-tarani
kisi mein taqat-e-didar bhi hai
nahin bahka kabhi 'maKHmur' pi kar
ye diwana bhi hai hushiyar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.