Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat humne ki hai hum tumhein dil se dua denge

Anjana Singh Sengar

mohabbat humne ki hai hum tumhein dil se dua denge

Anjana Singh Sengar

MORE BYAnjana Singh Sengar

    mohabbat ham ne hai ham tumheñ dil se duā deñge

    magar in chāhatoñ aap jaane kyā sazā deñge

    gile-shikve hamāre darmiyāñ jo haiñ miTā deñge

    mileñge jab bhī ham ik-dūsre se muskurā deñge

    hamāre chehre māyūsiyoñ ko ham se mat pūchho

    kisī din aap ke hāthoñ meñ ham bhī aa.ina deñge

    koī āvāz ūñchī kar ke bole kab gavāra hai

    agarche narm lahja ho to ham bhī dil bichhā deñge

    hamāre sabr tum imtihāñ mat lo to behtar hai

    zabāñ kholī agar ham ne to hangāma uThā deñge

    marīz-e-ishq huuñ maiñ thoḌā mushkil hai maraz merā

    agar denā paḌegī aap mujh ko kyā davā deñge

    diloñ baat ko dil meñ rakhoge to behtar hai

    zabāñ par aa ga.ī to log nāhaq havā deñge

    mohabbat ke hare paude lagāo 'anjanā' ab tum

    jo un chhāñv meñ baiTheñge vo saare duā deñge

    mohabbat hum ne ki hai hum tumhein dil se dua denge

    magar in chahaton ki aap jaane kya saza denge

    gile-shikwe hamare darmiyan jo hain miTa denge

    milenge jab bhi hum ik-dusre se muskura denge

    hamare chehre ki mayusiyon ko hum se mat puchho

    kisi din aap ke hathon mein hum bhi aaina denge

    koi aawaz unchi kar ke bole kab gawara hai

    agarche narm lahja ho to hum bhi dil bichha denge

    hamare sabr ka tum imtihan mat lo to behtar hai

    zaban kholi agar hum ne to hangama uTha denge

    mariz-e-ishq hun main thoDa mushkil hai maraz mera

    agar dena paDegi aap mujh ko kya dawa denge

    dilon ki baat ko dil mein rakhoge to hi behtar hai

    zaban par aa gai to log nahaq hi hawa denge

    mohabbat ke hare paude lagao 'anjana' ab tum

    jo un ki chhanw mein baiThenge wo sare dua denge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now