Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat kar ke lakhon ranj jhele bekali pai

Muztar Khairabadi

mohabbat kar ke lakhon ranj jhele bekali pai

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    mohabbat kar ke lākhoñ rañj jhele bekalī paa.ī

    vo mujh ko kyā mile ik maut goyā jīte-jī paa.ī

    vo bulbul huuñ ki jis din se luTā hai āshiyāñ merā

    uThā laayā maiñ apnā dil samajh kar jo kalī paa.ī

    shikāyat us kyā tujh se ye apnī apnī qismat hai

    ki merī aañkh ko aañsū mile ne hañsī paa.ī

    jahāñ meñ vāqa.ī 'muztar' bhī ik dam ġhanīmat thā

    magar afsos thoḌe din jiyā kam zindagī paa.ī

    mohabbat kar ke lakhon ranj jhele bekali pai

    wo mujh ko kya mile ek maut goya jite-ji pai

    wo bulbul hun ki jis din se luTa hai aashiyan mera

    uTha laya main apna dil samajh kar jo kali pai

    shikayat us ki kya tujh se ye apni apni qismat hai

    ki meri aankh ko aansu mile tu ne hansi pai

    jahan mein waqai 'muztar' ka bhi ek dam ghanimat tha

    magar afsos thoDe din jiya kam zindagi pai

    Source:

    Khirman (Part-1) (Pg. 124)

    • Author: Muztar Khairabadi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Javed Akhtar
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now