Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ki duniya mein aa kar to dekho

Shaida Ambalvi

mohabbat ki duniya mein aa kar to dekho

Shaida Ambalvi

MORE BYShaida Ambalvi

    mohabbat duniyā meñ aa kar to dekho

    kisī ko tum apnā banā kar to dekho

    mire ishq ko aazmā kar to dekho

    mirī jaan par hashr Dhā kar to dekho

    koī shai nigāhoñ se bāhar nahīñ hai

    nigāhoñ se pardā haTā kar to dekho

    mohabbat duniyā hai rāhat duniyā

    mohabbat duniyā basā kar to dekho

    samajh jāoge dard dil chiiz kyā hai

    kabhī ishq choT khā kar to dekho

    nahīñ dil-lagī dil kisī se lagānā

    kisī se zarā dil lagā kar to dekho

    yahī rāh-e-hastī ko raushan karegā

    charāġh-e-mohabbat jalā kar to dekho

    hameñ tāb-e-dīdār hai nahīñ hai

    muqābil nigāhoñ ke aa kar to dekho

    hamārī nazar meñ baḌī vus.ateñ haiñ

    hamārī nazar meñ samā kar to dekho

    batā deñge ham ishq hai naam kis

    hameñ apnā 'shaidā' banā kar to dekho

    mohabbat ki duniya mein aa kar to dekho

    kisi ko tum apna bana kar to dekho

    mere ishq ko aazma kar to dekho

    meri jaan par hashr Dha kar to dekho

    koi shai nigahon se bahar nahin hai

    nigahon se parda haTa kar to dekho

    mohabbat ki duniya hai rahat ki duniya

    mohabbat ki duniya basa kar to dekho

    samajh jaoge dard dil chiz kya hai

    kabhi ishq ki choT kha kar to dekho

    nahin dil-lagi dil kisi se lagana

    kisi se zara dil laga kar to dekho

    yahi rah-e-hasti ko raushan karega

    charagh-e-mohabbat jala kar to dekho

    hamein tab-e-didar hai ya nahin hai

    muqabil nigahon ke aa kar to dekho

    hamari nazar mein baDi wusaten hain

    hamari nazar mein sama kar to dekho

    bata denge hum ishq hai nam kis ka

    hamein apna 'shaida' bana kar to dekho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now