mohabbat mein shab-e-tarik-e-hijran kaun dekhega
mohabbat meñ shab-e-tārīk-e-hijrāñ kaun dekhegā
hamīñ dekheñge ye ḳhvāb-e-pareshāñ kaun dekhegā
in āñkhoñ se tajallī ko daraḳhshāñ kaun dekhegā
uThā bhī do naqāb-e-rū-e-tābāñ kaun dekhegā
yahī ik raat hai bas kā.enāt-e-zindagī apnī
sahar hotī huī ai shām-e-hijrāñ kaun dekhegā
chaman meñ gir rahī haiñ bijliyāñ shāḳh-e-nasheman par
yahāñ tak apnī barbādī kā sāmāñ kaun dekhegā
basānā hī paḌegā ik na ik din ḳhāna-e-dil ko
bane phirte ho yūsuf shām-e-zindāñ kaun dekhegā
haqīqat meñ taqāzā bhī yahī hai parda-dārī kā
raho tum aañkh ke pardoñ meñ pinhāñ kaun dekhegā
kuchh aisā ho dam-e-āḳhir na aa.eñ vo 'ayādat ko
unheñ apne kiye par yuuñ pashemāñ kaun dekhegā
mujhī par aa.egā ilzām merī pā.imālī kā
tirī raftār ko ai fitna-sāmāñ kaun dekhegā
jo ġhunche kal khile the aaj vo murjhā.e jaate haiñ
mirī nazroñ se rang-e-bazm-e-imkāñ kaun dekhegā
yahī ab bhī sadā.eñ vādī-e-aiman se aatī haiñ
kahāñ haiñ tālib-e-dīdār-e-jānāñ kaun dekhegā
nafas ke saath hī qaid-e-ta'alluq Tuut jaatī hai
palaT kar phir sū-e-gor-e-ġharībāñ kaun dekhegā
‘azāb-e-hashr se tū kyoñ Darātā hai mujhe vā'iz
tujhe mā'lūm bhī hai fard-e-'isyāñ kaun dekhegā
ye duniyā hai hañsā kartī hai auroñ kī musībat par
tirā ronā yahāñ ai chashm-e-giryāñ kaun dekhegā
chalo 'maḳhmūr' tanhā.ī meñ shaġhl-e-mai-kashī hogā
chhupā kar le chalo piine kā sāmāñ kaun dekhegā
mohabbat mein shab-e-tarik-e-hijran kaun dekhega
hamin dekhenge ye KHwab-e-pareshan kaun dekhega
in aankhon se tajalli ko daraKHshan kaun dekhega
uTha bhi do naqab-e-ru-e-taban kaun dekhega
yahi ek raat hai bas kaenat-e-zindagi apni
sahar hoti hui ai sham-e-hijran kaun dekhega
chaman mein gir rahi hain bijliyan shaKH-e-nasheman par
yahan tak apni barbaadi ka saman kaun dekhega
basana hi paDega ek na ek din KHana-e-dil ko
bane phirte ho yusuf sham-e-zindan kaun dekhega
haqiqat mein taqaza bhi yahi hai parda-dari ka
raho tum aankh ke pardon mein pinhan kaun dekhega
kuchh aisa ho dam-e-aKHir na aaen wo 'ayaadat ko
unhen apne kiye par yun pasheman kaun dekhega
mujhi par aaega ilzam meri paimali ka
teri raftar ko ai fitna-saman kaun dekhega
jo ghunche kal khile the aaj wo murjhae jate hain
meri nazron se rang-e-bazm-e-imkan kaun dekhega
yahi ab bhi sadaen wadi-e-aiman se aati hain
kahan hain talib-e-didar-e-jaanan kaun dekhega
nafas ke sath hi qaid-e-ta'alluq Tut jati hai
palaT kar phir su-e-gor-e-ghariban kaun dekhega
‘azab-e-hashr se tu kyon Daraata hai mujhe wa'iz
tujhe ma'lum bhi hai fard-e-'isyan kaun dekhega
ye duniya hai hansa karti hai auron ki musibat par
tera rona yahan ai chashm-e-giryan kaun dekhega
chalo 'maKHmur' tanhai mein shaghl-e-mai-kashi hoga
chhupa kar le chalo pine ka saman kaun dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.