mohabbaton ka bhi andaz tajirana hai
mohabbatoñ kā bhī andāz tājirāna hai
'ajīb rang meñ Duubā huā zamāna hai
kuchh aur vaqt tire shahr meñ gañvānā hai
aur is ke baa'd mujhe gaañv lauT jaanā hai
kabhī zabāñ pe mohabbat kā naam aayā thā
bas itnī baat pe dushman mirā zamāna hai
tumhārā pyaar mirī zindagī bane na bane
magar mire liye jiine kā ik bahāna hai
'ajīb tarh guzārī hai zindagī maiñ ne
na dushmanī hai kisī se na dostāna hai
ham apne jhunD se bichhḌe hue parinde haiñ
na koī ghar hai hamārā na ab Thikāna hai
jahāñ fazāoñ meñ uḌtī thiiñ ḳhushbueñ 'arshad'
vahāñ havāoñ meñ ab ḳhāk-e-āshiyāna hai
mohabbaton ka bhi andaz tajirana hai
'ajib rang mein Duba hua zamana hai
kuchh aur waqt tere shahr mein ganwana hai
aur is ke ba'd mujhe ganw lauT jaana hai
kabhi zaban pe mohabbat ka nam aaya tha
bas itni baat pe dushman mera zamana hai
tumhaara pyar meri zindagi bane na bane
magar mere liye jine ka ek bahana hai
'ajib tarh guzari hai zindagi main ne
na dushmani hai kisi se na dostana hai
hum apne jhunD se bichhDe hue parinde hain
na koi ghar hai hamara na ab Thikana hai
jahan fazaon mein uDti thin KHushbuen 'arshad'
wahan hawaon mein ab KHak-e-ashiyana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.