muaf karna ki aur himmat nahin karenge
mu'āf karnā ki aur himmat nahīñ kareñge
na ho tamāsha so raqs-e-vahshat nahīñ kareñge
udaas laḌkoñ ko kyoñ samajhtī nahīñ ye duniyā
udaas laḌke kabhī shikāyat nahīñ kareñge
kahāñ talak joḌeñ TuuTe dil ko so tai kiyā hai
makāñ gire to gire marammat nahīñ kareñge
vo laakh dushman sahī hamārā magar usūlan
jo dar pe aayā to ham fazīhat nahīñ kareñge
mu'af karna ki aur himmat nahin karenge
na ho tamasha so raqs-e-wahshat nahin karenge
udas laDkon ko kyon samajhti nahin ye duniya
udas laDke kabhi shikayat nahin karenge
kahan talak joDen TuTe dil ko so tai kiya hai
makan gire to gire marammat nahin karenge
wo lakh dushman sahi hamara magar usulan
jo dar pe aaya to hum fazihat nahin karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.