Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mubtala KHud ko kisi gham mein musalsal rakhna

Khalid Mahmood Zaki

mubtala KHud ko kisi gham mein musalsal rakhna

Khalid Mahmood Zaki

MORE BYKhalid Mahmood Zaki

    mubtalā ḳhud ko kisī ġham meñ musalsal rakhnā

    aur us ġham ko tirī aañkh se ojhal rakhnā

    chāñd khiḌkī meñ kabhī dhuup meñ bādal rakhnā

    dhyān rakhnā jo kisī to har ik pal rakhnā

    chalnā sīkhā nahīñ raah se haT kar ham ne

    ik qadam us taraf ik sū-e-maqtal rakhnā

    dekhnā maañd na paḌ jaa.eñ ġham-e-hijr meñ ye

    tum shab-e-vasl in āñkhoñ meñ kājal rakhnā

    ik zarā baat se is jaan pe ban aatī thī

    raas aayā bhī to ġham se ise bojhal rakhnā

    jis ko kahnā thā usī ko nahīñ kahnā aur phir

    kaise andeshoñ meñ ḳhud ko yūñhī pāgal rakhnā

    aisā lagnā ki ye āñkheñ to barastī nahīñ

    sail-e-ġham se magar andar koī jal-thal rakhnā

    ham to is arsa-e-hastī meñ jhulaste rahe

    na huā dhuup meñ ik ḳhvāb bādal rakhnā

    mubtala KHud ko kisi gham mein musalsal rakhna

    aur us gham ko teri aankh se ojhal rakhna

    chand khiDki mein kabhi dhup mein baadal rakhna

    dhyan rakhna jo kisi ka to har ek pal rakhna

    chalna sikha hi nahin rah se haT kar hum ne

    ek qadam us ki taraf ek su-e-maqtal rakhna

    dekhna mand na paD jaen gham-e-hijr mein ye

    tum shab-e-wasl ka in aankhon mein kajal rakhna

    ek zara baat se is jaan pe ban aati thi

    ras aaya bhi to gham se ise bojhal rakhna

    jis ko kahna tha usi ko nahin kahna aur phir

    kaise andeshon mein KHud ko yunhi pagal rakhna

    aisa lagna ki ye aankhen to barasti hi nahin

    sail-e-gham se magar andar koi jal-thal rakhna

    hum to is arsa-e-hasti mein jhulaste hi rahe

    na hua dhup mein ek KHwab ka baadal rakhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now