muddat pe mili TuT ke barsat hamari
muddat pe milī TuuT ke barsāt hamārī
phir 'ishq-musalle pe kaTī raat hamārī
is baar bhī naafe meñ zarā mushk na niklā
is baar bhī bekār ga.ī ghaat hamārī
ham masjid-o-mimbar kī zarūrat se sivā the
dekhī nahīñ duniyā ne karāmāt hamārī
us raat to ham jism ke hujre se na nikle
us raat huī itnī mudārāt hamārī
is baar hai mehvar hī koī aur zamīñ kā
sardī hai na garmī hai na barsāt hamārī
haamī na bharī 'ishq ke manshūr pe us ne
bekār ga.ī ye bhī mulāqāt hamārī
allāh ke bandoñ kā vahī ḳhauf hai dil meñ
is baar bhī sajde meñ kaTī raat hamārī
muddat pe mili TuT ke barsat hamari
phir 'ishq-musalle pe kaTi raat hamari
is bar bhi nafe mein zara mushk na nikla
is bar bhi bekar gai ghat hamari
hum masjid-o-mimbar ki zarurat se siwa the
dekhi nahin duniya ne karamat hamari
us raat to hum jism ke hujre se na nikle
us raat hui itni mudaraat hamari
is bar hai mehwar hi koi aur zamin ka
sardi hai na garmi hai na barsat hamari
hami na bhari 'ishq ke manshur pe us ne
bekar gai ye bhi mulaqat hamari
allah ke bandon ka wahi KHauf hai dil mein
is bar bhi sajde mein kaTi raat hamari
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 74)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.