Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddat se jism barf mein jakDa hua sa hai

Manzar Saleem

muddat se jism barf mein jakDa hua sa hai

Manzar Saleem

MORE BYManzar Saleem

    muddat se jism barf meñ jakḌā huā hai

    māhaul mere siine meñ baiThā huā hai

    kohre meñ aañkh phuuT ga.ī tab ḳhabar milī

    sūraj mirī talāsh meñ niklā huā hai

    har aañkh mujh pe paḌtī hai talvār tarah

    har shaḳhs mere ḳhuuñ meñ nahāyā huā hai

    nafrat ke jis pahāḌ ke nīche khaḌā huuñ maiñ

    vo saarī kā.enāt pe phailā huā hai

    ghar meñ dhuāñ bharā hai ki baiThūñ to dam ghuTe

    bāhar tamām shahr sulagtā huā hai

    haañ maiñ ġhunūdgī ke dhundalke meñ huuñ asiir

    haañ merā zehn sadiyoñ jaagā huā hai

    muddat se jism barf mein jakDa hua sa hai

    mahaul mere sine mein baiTha hua sa hai

    kohre mein aankh phuT gai tab KHabar mili

    suraj meri talash mein nikla hua sa hai

    har aankh mujh pe paDti hai talwar ki tarah

    har shaKHs mere KHun mein nahaya hua sa hai

    nafrat ke jis pahaD ke niche khaDa hun main

    wo sari kaenat pe phaila hua sa hai

    ghar mein dhuan bhara hai ki baiThun to dam ghuTe

    bahar tamam shahr sulagta hua sa hai

    han main ghunudgi ke dhundalke mein hun asir

    han mera zehn sadiyon ka jaga hua sa hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 308)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now