muddaton baad shab-e-mah use dekha tha
muddatoñ baa'd shab-e-māh use dekhā thā
par kisī aur ke hamrāh use dekhā thā
kyā ḳhabar thī ki kahānī koī ban jā.egī
maiñ ne kal bazm meñ nāgāh use dekhā thā
vasl kī raat sitāroñ ne baḌī hasrat se
gaah dekhā thā mujhe gaah use dekhā thā
log use DhūñDhne nikle to ye mā'lūm huā
jis ne dekhā thā sar-e-rāh use dekhā thā
aaj ik 'umr ke baa'd us se milā thā lekin
apne ahvāl se āgāh use dekhā thā
us kā kyā Thiik ki logoñ ne ba-yak-vaqt 'jamāl'
sar-e-mai-ḳhāna-o-dargāh use dekhā thā
muddaton ba'd shab-e-mah use dekha tha
par kisi aur ke hamrah use dekha tha
kya KHabar thi ki kahani koi ban jaegi
main ne kal bazm mein nagah use dekha tha
wasl ki raat sitaron ne baDi hasrat se
gah dekha tha mujhe gah use dekha tha
log use DhunDhne nikle to ye ma'lum hua
jis ne dekha tha sar-e-rah use dekha tha
aaj ek 'umr ke ba'd us se mila tha lekin
apne ahwal se aagah use dekha tha
us ka kya Thik ki logon ne ba-yak-waqt 'jamal'
sar-e-mai-KHana-o-dargah use dekha tha
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 116)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.