Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko furqat ki asiri se rihai hoti

Imam Bakhsh Nasikh

mujhko furqat ki asiri se rihai hoti

Imam Bakhsh Nasikh

MORE BYImam Bakhsh Nasikh

    mujh ko furqat asīrī se rihā.ī hotī

    kaash iisā ke evaz maut aa.ī hotī

    āshiqī meñ jo maza hai to yahī furqat hai

    lutf kyā thā jo agar us se judā.ī hotī

    gar na ho sham.a to ma.adūm haiñ parvāne bhī

    na hotā to sanam kab ye ḳhudā.ī hotī

    ġhair se karte ho abrū ke ishāre har dam

    kabhī talvār to mujh par bhī lagā.ī hotī

    us har dam nasīhat se maiñ tañg aayā huuñ

    kaash nāseh se bhī aañkh us ne laḌā.ī hotī

    huuñ vo ġham-dost ki sab apne dil meñ bhartā

    ġham-e-ālam agar is meñ samā.ī hotī

    ḳhat ke āġhāz meñ to mujh se huā saaf kab

    lutf tab thā ki safā.ī meñ safā.ī hotī

    abr-e-rahmat se to mahrūm rahī kisht mirī

    koī bijlī falak ne girā.ī hotī

    dasht-e-pur-ḳhār meñ mehñdī havas bhī niklī

    kab hamārī kaf-e-pā varna hinā.ī hotī

    dhoī kyuuñ ashk ke tūfān se lauh-e-mahfūz

    sar-navisht apnī 'nāsiḳh' ne miTā.ī hotī

    mujh ko furqat ki asiri se rihai hoti

    kash isa ke ewaz maut hi aai hoti

    aashiqi mein jo maza hai to yahi furqat hai

    lutf kya tha jo agar us se judai hoti

    gar na ho shama to madum hain parwane bhi

    tu na hota to sanam kab ye KHudai hoti

    ghair se karte ho abru ke ishaare har dam

    kabhi talwar to mujh par bhi lagai hoti

    us ki har dam ki nasihat se main tang aaya hun

    kash naseh se bhi aankh us ne laDai hoti

    hun wo gham-dost ki sab apne hi dil mein bharta

    gham-e-alam ki agar is mein samai hoti

    KHat ke aaghaz mein to mujh se hua saf tu kab

    lutf tab tha ki safai mein safai hoti

    abr-e-rahmat se to mahrum rahi kisht meri

    koi bijli hi falak tu ne girai hoti

    dasht-e-pur-KHar mein mehndi ki hawas bhi nikli

    kab hamari kaf-e-pa warna hinai hoti

    dhoi kyun ashk ke tufan se lauh-e-mahfuz

    sar-nawisht apni hi 'nasiKH' ne miTai hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now